Adrak Ke Fayde
- Agar aap k muu se badboo aati hai or aap ki zuban maili ho chuki hai to phr adrak aap kaliye bohat zayada faide mand rahay ga. Agar aap adrak ka use karte hain to aap ki zuban ki mail bi khatam ho gae gy or aap bohat sari maide ki baimariyo se bi bach gae gay.
- Agar aap chahte hain k aap ka maida kabi kharab na ho or aap ko kabi badhazmi na ho to adrak ka use kiya kare khane k kuch dair baad taaza adrak ka aik chota sa tukra lai k chabaya kare. Aap mukamal tor par fit rahe gay.
- Agar aap zayada dair tak kuch khate bi nahy hain phr bi aap ko bhook nahy lagti to is ka matlab hai k aap ka maida theek nahy hai. Agar aap adrak ka use karte hain to aap ko bhook bi lagna shuru ho gae gy or aap jab ache tarike se khana khae gay to aap fit or sehat mand bi rahe gay.
- Jab garmiya khatam ho rahi hoti hain to tab jo mosam hota hai us mosam main nazla zukam or khansi ki baimari bohat zayada ho jati hai. Agar aap in tamam baimariyo se door rehna chahte hain to adrak ka istamal kiya kre. Aap mukamal tor par fit rahe gay.
- Agar aap k joro main dard rehti hai to phr adrak ka use kiya kre. Adrak joro k dard ko bohat jaldi khatam krti hai or aap ko fit or sehat mand rakhti hai.
- Adrak k istamal se aap k jisam main garmi paida hona shuru ho gae gy or agar aap ka maida sahi nahy rehta to aap ka maida bi sahi ho gae ga or aap ka hazma bi fit ho gae ga or aap ko ache se bhook bi laga kare gy.
- Aap ko agar Gas ka bohat zayada issue rehta hai to Adrak bohat best hai is baimari kaliye. Adrak k istamal se gas ka masla bohat jaldi khatam ho jata hai.
- Adrak ka Faida aik ye bi hai k Adrak k istamal se zehni or aesabi bemari bi door ho jati hai.
- Bohat sare logo ko saans laine main bohat zayada issue hota hai kabi kabi to un ko ye pata hona chahiye k un kaliye adrak kisi nehmat se kam nahy hai. Adrak k istamal se aap apne saans k issue ko khatam kar sakte hain.
- Agar aap k pait main dard hai to is ka bi solution adrak hi hai. Adrak k use se pait ka dard khatam ho jata hai.
- Khon ki rawani ko behtar banane kaliye bi adrak ka use kiya ja sakta hai.
- Aap jo kuch bi khate hain or us k baad adrak ka use karte hain to adrak aap k us khane ko hazam karne main bohat zayada help karta hai.
- Agar aap ki antaryo main bohat zayada sozash rehti hai to ye sozash khatam ho sakti hai agar aap adrak ka use karte hain. Adrak k use se antaryo ki sozash bi khatam ho jati hai.
- Agar kisi ko yarqaan ya phr bawaseer ka issue rehta hai to wo adrak ka use kare us se ye dono issues solve ho gae gay.
Yarkan ka ilaj:
Adrak k bohat sare fayde hain jis main aik faida ye bi hai k is se Yarkan ka ilaj bi kiya ja sakta hai.
Japan main bohat time pehle aik tehqeeq hoe ty is tehqeeq main jo result aaya ta us result k mutabiq adrak yarkan k mareezo kaliye bohat faide mand hai.
Yarkan Ka ilaj kaise kiya jata hai adrak se main aap ko bata daita hon.
Half chamach aap nay adrak ka ras lai laina hai us k baad itni hi miqdaar main aap nay lemon ka ras or podeene ka ras lai laina hai or in sab main aik chamach shehad mila laina hai.
Bs itna sa kaam hai aap nay in tamam cheezo ko achi tarah mix kar laina hai or din main three times aap nay use karna hai. Aap ka yarkan ka issue solve ho gae ga.
Adrak ke Fayde Balo ke liye:
Agar aap apne baal lambe karna chahte hain to Adrak ka use kiya kare. Ab adrak ka use kaise karna hai ye main aap ko bata daita hon. Adrak k use karne se aap k baal kaafi taizi se grow hon gay or color bi black ho ga or shine bi kare gay.
Tarika No 1:
Four chamach nariyal ka tail lai k us main adrak ka ras or ailovera jel mila lain or phr baalon main lagaya kare. Ye kaam karne se aap k baal kaafi lambe hon gay or kaafi khobsurat ho gae gay.
Tarika No 2:
Aik Cup lai lain or us main dahi daal dain jitni bi cup main aa sakti hai us k baad is dahi main four chamach shehad mila lain or two chamach maithi danay ka powder mila lain.
Ab aap nay ye jo cheez banae hai is ko aap nay apne baalon ki jaro main or lambai main laga laina hai. Aap ko is ka bohat jald acha result mile ga or aap k baal grow hona shuru ho gae gay.
Adrak Ke Fayde Wazan Kam Karne Ke Liye:
Adrak k use karne se aap apna wazan bi kam kar sakte hain bohat hi asani k sath or aap ko jo nuskha use karna pare ga is kaam kaliye wo itna mehnga bi nahy hai. Ghar main hi aap ye nuskha khud tayar kar sakte hain or apne wazan ko kam bi kar sakte hain.
Tarika:
Daid leiter botel main sab se pehle saaf paani daal lain or phr is paani ko aap kisi bartan main daal k ubaal lain.
Jab paani ubalna shuru ho gae to phr aap nay is paani main chote chote adrak k tukre kaat k dalna shuru kar daine hain or phr paani ko thori dair tak ubalne dain.
Jab paani ubal gae to phr is paani ko cholay se utar kar fifteen minute kaliye rakh dain takay ye paani thanda ho gae.
Jab paani thanda ho gae to apni marzi se jo taste aap ko acha lagta hai us k mutabiq utna aap nay lemon ka ras mix kar daina hai is paani main.
Jaldi or behtar result kaliye aap nay ye water day main 2 time peena hai. Aap kuch hi days main khud hi dhaike gay k aap ka wazan kam hona shuru ho gaiya hai.
Adrak Ke Fayde Skin Ke Liye:
Agar aap k face ki skin par bohat zayada jurya aa chuki hain ya phr aap k face par bohat zayada pimples hain to Adrak ka use aap kaliye bohat zayada faida mand sabat ho sakta hai.
Adrak ko use kar k aap apni skin ko glow kar sakte hain. Aap ki skin saaf or khubsurat ho gae gy.
Tarika:
Adrak ka ras nikal k aap nay us ko apni skin par lagana hai. Skin par lagane se aap ki skin neat and clean hona shuru ho gae gy or mitti dhool jo face par jami ho gy wo bi khatam ho gae gy.
Adrak Ke Fayde – Adrak se Khansi Ka ilaj:
Khansi, Nazla or Zukam aisi baimariya hain jo bohat zayada tang karti hain. Adrak k istamal se in tamam issues se bacha ja sakta hai.
Tarika:
Adrak ka ras nikal lain aik chamach or phr us main shehad mix kar k is ko din main three time use kare. Aap dhaike gay k aap ki khansi ka issue solve hona shuru ho gae ga. Nazla or zukam khatam ho gae ga or aap ka gala pehle se bohat acha ho gae ga.
Adrak se Ganjapan Door Karne Ka Tarika:
Adrak se Ganjapan khatam karne kaliye aap ko two things ki zarorat pare gy aik cheez adrak hai or dosra olive oil tail hai.
Adrak or olive oil tail k istamal karne se ganjpan ka khatam ho sakta hai wo bi bohat hi asani k sath.
Tarika:
- 1 chamach Adrak ka juice laina hai.
- 2 chamach olive oil laina hai.
- Dono ko achi tarah mix kar lain.
Mix karne k baad aap nay baalon ki jaro main ye oil lagana hai or baalon par bi lagana hai or lagane k baad two hours tak isay laga rehne dain ya phr raat ko laga k so jae or subah ut k head wash kar lain.
Week main aap nay 3 times oil ko use karna hai mean k one day chor k one day aap nay is ko use karna hai.
Note:
Jitna aap nay adrak ka juice liya hai us se double aap nay olive oil ka tail us main mix karna hai or aap zayada bi oil bana sakte hain laikin koshish kijiye ga k 10 say 12 days k andar wo oil phr aap use laazmi kar lijiye ga. Agar wo oil ko pare howay 12 se 13 days se oper hon gae hain to phr mat use kijiye ga. New bana lijiye ga.
Adrak ke Fayde – Adrak se dant dard ka ilaj
Aksar oqat sardiyo main dant main dard hona shuru ho jata hai to aap bohat zayada pareshan ho jate hain but pareshan hone ki zarorat nahy hai adrak se dant dard ka ilaj ho sakta hai.
Tarika:
Agar aap k dant main dard hai to aap nay aik chota sa kaam karna hai or chota sa kaam ye hai k jis dant main dard ho raha hai us dant k neche aap nay adrak ka aik chota sa tukra rakh daina hai or phr us ko daba k rakhna hai. agar aap ye kaam karte hain to kuch hi dair main dant dard khatam ho gae ga.
Adrak Ke Fayde – Adrak se Kabj Ka ilaj:
Kabj aik bohat bari baimari hai or is ka ilaj bi bohat zarori hai. agar is ka ilaj na kiya gae to bohat zayada issues rehte hain kisi bi insane k sath.
Zayada tar ye issue hota hai us waqt jab aap bohat zayada fast food ka use karte hain.
Jab Kabj hota hai to us waqt pait main dard bi feel hota hai or ye aik baimari apne sath or bohat sari baimariya lai k aati hai so is ka ilaj zarori hai. chalo dhaikte hain k adrak se kabj ka ilaj kaise kiya ja sakta hai.
Tarika:
Subah nihaar muu paani k sath agar adrak ka aik tukra kha liya gae to gas or kabj ka issue khatam ho jata hai.
Khana khane se half hour pehle agar adrak k aik tukre ka use kiya gae to gas ka issue kabi nahy hoga or khana bi ache se hazam ho ga.