Gmail ID banana ka tarika
Assalam u Alikum Dosto is Article main aap ko batane ja raha hon k Gmail ID banana ka tarika kya hai. Agar aap apni khud ki Gmail ID banana chahte hain but aap ko nahy maloom k Gmail ID kaise banate hain to ye Article read kare. Is Article me bohat hi asani k sath aap ko samjaya gaiya hai Gmail ID banana ka tarika.
- First of all aap nay krna kya hai aap ko main bata daita hon. Sab se pehle aap nay play store ko open krna hai. Agar to aap nay pehle se koi gmail lagae hoe hai to phr aap nay right top corner par jo dp lagi hoe hai ya jo bi koi alphabet likha howa hai jaise G ya F yap hr P is tarah se ya koi DP lagi hoe hai to us par click kar dain. Agar koi account pehle nahy bana howa to aap k pass sign in or Sign up ka option aae ga aap nay Sign up k option par click kar daina hai.
- Jab aap apni DP par click kare gay to aap k samne Manage Your Google Account ka option aae ga or us k sath aik setting ka option bi aae ga. Aap nay us setting k option par click kar daina hai. Setting k option par click karne k baad aap k pass aik new option aae ga or wo new option hai Add another Account. Aap nay is option par click kar daina hai.
- Add another account par click karne k baad aap k pass aik new screen aae jaha par Google likha ho ga. Ab aap nay Google k option par click kar daina hai.
- New window jo ab aap k pass aae gy is new window main Create Account ka option ho ga. Create account k option par ab click kar dain. Jaise hi aap create account k option par click kare gay to us k baad aap k pass 2 option aae gay aap nay myself k option par click kar daina hai.
- Ab new window main aap se kaha ga raha hai k aap apna name likhe to aap nay pehle box main name likh daina hai or 2nd box optional hai agar aap apna surname likhna chahte hain to likh dain otherwise aap is option ko skip kar sakte hain or phr aap nay next k option par click kar daina hai.
- Google ab aap se poche ga k aap ki date of birth kya hai to aap nay sab se pehle apna day select krna hai us k baad apna month select krna hai or us k baad apna year select krna hai or neche aap ko aik option or milay ga or ye option hai Gender ka. Gender k option par click kar k aap nay apna Gender select kr laina hai or phr aap nay next k option par click kar daina hai.
- Abi aap k samne jo new window aae gy is new window main aap nay apna Gmail likhna hai jo aap chahte ho. Gmail aap nay aisa likhna hai k wo different ho. Agar aap nay apne name se gmail likha hai or wo gmail select nahy ho raha to phr aap apne name k sath kuch words or add kro ya phr kuch counting add kro is tarah se aap ka gmail kuch unique ho gae ga or google aap ko bolay ga k ok aap ye gmail lai sakte ho or us k baad aap nay next k option par click kar daina hai.
- Gmail select krne k baad ab aap ko Google bolay ga k apna password set kro to aap nay apna password likh daina hai jo aap chahte ho laikin password aisa hona chahiye jis main kuch name bi ho or kuch counting bi ho takay agar koi aap k password ka pata bi krna chahta hai to wo pata nahy kr sake ga. Password likhne k baad aap nay again confirm krne kaliye aik baar or password likhna hai agar aap k 2no password same hon gay to aap ka account ready ho gae ga.
- Account ready hone k baad aap ko Google apni Terms and conditions dikae ga. Aap nay un terms or conditions ko read krna hai or us k baad Agree k option par click kar daina hai.
Is tarah se aap ka account ban k ready ho gae ga or ap apna Gmail account use kar sake gay or kisi ko bi gmail se mail kr sake gay.
Aap Video dhaik kar bi Gmail account bana sakte hain. video me complete detail se aap ko har baat samja di gae hai.